What Parents Say
Jab se mera beta Ankuram mein aaya hai, mujhe ek bhi din tension nahi hui. School ki bus time par aati hai, teacher WhatsApp par update deti hain, aur beta ghar aakar khud English mein baat karne ki koshish karta hai. Yeh change maine kabhi expect nahi kiya tha.
Humne socha tha ki Jhabua mein itni achhi facilities nahi milegi — lekin Ankuram ne hame galat sabit kar diya. Meri beti robotics lab mein kaam karti hai aur ab kehti hai ki engineer banna hai. Yeh sapna unhone Ankuram se liya.
Pahle hum dusre shehar mein school bhejne ka soch rahe the. Lekin Ankuram ki CBSE affiliation, PW Foundation program aur teachers ki dedication dekhkar yahan hi admission karaya. Aaj mera beta Class 9 mein hai aur JEE ki taiyari bhi saath mein ho rahi hai.